Iza-dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main

iza-dahi ki dad jo pata raha hun main

har naz-afrin ko satata raha hun main

ai KHush-KHiram panw ke chhaale to gin zara

tujh ko kahan kahan na phiraata raha hun main

ek husn-e-be-misal ki tamsil ke liye

parchhaiyon pe rang giraata raha hun main

kya mil gaya zamir-e-hunar bech kar mujhe

itna ki sirf kaam chalata raha hun main

ruhon ke parda-posh gunahon se be-KHabar

jismon ki nekiyan hi ginata raha hun main

tujh ko KHabar nahin ki tera karb dekh kar

akasr tera mazaq uData raha hun main

shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui

lekin yaqin sab ko dilata raha hun main

ek satr bhi kabhi na likhi main ne tere nam

pagal tujhi ko yaad bhi aata raha hun main

jis din se e'timad mein aaya tera shabab

us din se tujh pe zulm hi Dhata raha hun main

apna misaliya mujhe ab tak na mil saka

zarron ko aaftab banata raha hun main

bedar kar ke tere badan ki KHud-agahi

tere badan ki umr ghaTata raha hun main

kal dopahar ajib si ek be-dili rahi

bas tiliyan jala ke bujhata raha hun main

(3587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iza-dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main In English By Famous Poet Jaun Eliya. Iza-dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Iza-dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Iza-dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main in PDF.