Juz Guman Aur Tha Hi Kya Mera

juz guman aur tha hi kya mera

faqat ek mera nam tha mera

nikhat-e-pairahan se us gul ki

silsila be-saba raha mera

mujh ko KHwahish hi DhunDne ki na thi

mujh mein khoya raha KHuda mera

thuk de KHun jaan le wo agar

aalam-e-tark-e-muddaa mera

jab tujhe meri chah thi jaanan

bas wahi waqt tha kaDa mera

koi mujh tak pahunch nahin pata

itna aasan hai pata mera

aa chuka pesh wo murawwat se

ab chalun kaam ho chuka mera

aaj main KHud se ho gaya mayus

aaj ek yar mar gaya mera

(2025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juz Guman Aur Tha Hi Kya Mera In English By Famous Poet Jaun Eliya. Juz Guman Aur Tha Hi Kya Mera is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Juz Guman Aur Tha Hi Kya Mera for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Juz Guman Aur Tha Hi Kya Mera in PDF.