KHub Hai Shauq Ka Ye Pahlu Bhi

KHub hai shauq ka ye pahlu bhi

main bhi barbaad ho gaya tu bhi

husn-e-maghmum tamkanat mein teri

farq aaya na yak-sar-e-mu bhi

ye na socha tha zer-e-saya-e-zulf

ki bichhaD jaegi ye KHush-bu bhi

husn kahta tha chheDne wale

chheDna hi to bas nahin chhu bhi

hae wo us ka mauj-KHez badan

main to pyasa raha lab-e-ju bhi

yaad aate hain moajize apne

aur us ke badan ka jadu bhi

yasmin us ki KHas mahram-e-raaz

yaad aaya karegi ab tu bhi

yaad se us ki hai mera parhez

ai saba ab na aaiyo tu bhi

hain yahi 'jaun-elia' jo kabhi

saKHt maghrur bhi the bad-KHu bhi

(3682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHub Hai Shauq Ka Ye Pahlu Bhi In English By Famous Poet Jaun Eliya. KHub Hai Shauq Ka Ye Pahlu Bhi is written by Jaun Eliya. Read famous Poem KHub Hai Shauq Ka Ye Pahlu Bhi for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download KHub Hai Shauq Ka Ye Pahlu Bhi in PDF.