Kisi Se Koi KHafa Bhi Nahin Raha Ab To

kisi se koi KHafa bhi nahin raha ab to

gila karo ki gila bhi nahin raha ab to

wo kahishen hain ki aish-e-junun to kya yani

ghurur-e-zehn-e-rasa bhi nahin raha ab to

shikast-e-zat ka iqrar aur kya hoga

ki idda-e-wafa bhi nahin raha ab to

chune hue hain labon par tere hazar jawab

shikayaton ka maza bhi nahin raha ab to

hun mubtala-e-yaqin meri mushkilen mat puchh

guman-e-uqda-kusha bhi nahin raha ab to

mere wajud ka ab kya sawal hai yani

main apne haq mein bura bhi nahin raha ab to

yahi atiyya-e-subh-e-shab-e-visal hai kya

ki sehr-e-naz-o-zada bhi nahin raha ab to

yaqin kar jo teri aarzu mein tha pahle

wo lutf tere siwa bhi nahin raha ab to

wo sukh wahan ki KHuda ki hain baKHshishen kya kya

yahan ye dukh ki KHuda bhi nahin raha ab to

(2324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Se Koi KHafa Bhi Nahin Raha Ab To In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kisi Se Koi KHafa Bhi Nahin Raha Ab To is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kisi Se Koi KHafa Bhi Nahin Raha Ab To for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kisi Se Koi KHafa Bhi Nahin Raha Ab To in PDF.