Kisi Se Ahd-o-paiman Kar Na Rahiyo

kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo

to us basti mein rahiyo par na rahiyo

safar karna hai aaKHir do palak beach

safar lamba hai base bistar na rahiyo

har ek haalat ke beri hain ye lamhe

kisi gham ke bharose par na rahiyo

suhulat se guzar jao meri jaan

kahin jine ki KHatir mar na rahiyo

hamara umr-bhar ka sath Thera

so mere sath tu din-bhar na rahiyo

bahut dushwar ho jaega jina

yahan to zat ke andar na rahiyo

sawere hi se ghar aajaiyo aaj

hai roz-e-waqia bahar na rahiyo

kahin chhup jao na KHanon mein ja kar

shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo

nazar par bar ho jate hain manzar

jahan rahiyo wahan aksar na rahiyo

(5649) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Se Ahd-o-paiman Kar Na Rahiyo In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kisi Se Ahd-o-paiman Kar Na Rahiyo is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kisi Se Ahd-o-paiman Kar Na Rahiyo for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kisi Se Ahd-o-paiman Kar Na Rahiyo in PDF.