Kya Ho Gaya Hai Gesu-e-KHamdar Ko Tere

kya ho gaya hai gesu-e-KHamdar ko tere

aazad kar rahe hain giraftar ko tere

ab tu hai muddaton se shab-o-roz ru-ba-ru

kitne hi din guzar gae didar ko tere

kal raat chobdar samet aa ke le gaya

ek ghol tarah-dar-e-sar-e-dar ko tere

ab itni kund ho gai dhaar ai yaqin teri

ab rokta nahin hai koi war ko tere

ab rishta-e-mariz-o-masiha hua hai KHwar

sab pesha-war samajhte hain bimar ko tere

bahar nikal ke aa dar-o-diwar-e-zat se

le jaegi hawa dar-o-diwar ko tere

ai rang us mein sud hai tera ziyan nahin

KHushbu uDa ke le gai zangar ko tere

(2648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Ho Gaya Hai Gesu-e-KHamdar Ko Tere In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kya Ho Gaya Hai Gesu-e-KHamdar Ko Tere is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kya Ho Gaya Hai Gesu-e-KHamdar Ko Tere for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kya Ho Gaya Hai Gesu-e-KHamdar Ko Tere in PDF.