Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum

naya ek rishta paida kyun karen hum

bichhaDna hai to jhagDa kyun karen hum

KHamoshi se ada ho rasm-e-duri

koi hangama barpa kyun karen hum

ye kafi hai ki hum dushman nahin hain

wafa-dari ka dawa kyun karen hum

wafa iKHlas qurbani mohabbat

ab in lafzon ka pichha kyun karen hum

hamari hi tamanna kyun karo tum

tumhaari hi tamanna kyun karen hum

kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne

to sari umr ifa kyun karen hum

nahin duniya ko jab parwa hamari

to phir duniya ki parwa kyun karen hum

ye basti hai musalmanon ki basti

yahan kar-e-masiha kyun karen hum

(3704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum In English By Famous Poet Jaun Eliya. Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Naya Ek Rishta Paida Kyun Karen Hum in PDF.