Sare Rishte Tabah Kar Aaya

sare rishte tabah kar aaya

dil-e-barbaad apne ghar aaya

aaKHirash KHun thukne se miyan

baat mein teri kya asar aaya

tha KHabar mein ziyan dil o jaan ka

har taraf se main be-KHabar aaya

ab yahan hosh mein kabhi apne

nahin aaunga main agar aaya

main raha umr bhar juda KHud se

yaad main KHud ko umr bhar aaya

wo jo dil nam ka tha ek nafar

aaj main is se bhi mukar aaya

muddaton baad ghar gaya tha main

jate hi main wahan se Dar aaya

(2283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare Rishte Tabah Kar Aaya In English By Famous Poet Jaun Eliya. Sare Rishte Tabah Kar Aaya is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Sare Rishte Tabah Kar Aaya for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Sare Rishte Tabah Kar Aaya in PDF.