Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein

sar hi ab phoDiye nadamat mein

nind aane lagi hai furqat mein

hain dalilen tere KHilaf magar

sochta hun teri himayat mein

ruh ne ishq ka fareb diya

jism ko jism ki adawat mein

ab faqat aadaton ki warzish hai

ruh shamil nahin shikayat mein

ishq ko darmiyan na lao ki main

chiKHta hun badan ki usrat mein

ye kuchh aasan to nahin hai ki hum

ruThte ab bhi hain murawwat mein

wo jo tamir hone wali thi

lag gai aag us imarat mein

zindagi kis tarah basar hogi

dil nahin lag raha mohabbat mein

hasil-e-kun hai ye jahan-e-KHarab

yahi mumkin tha itni ujlat mein

phir banaya KHuda ne aadam ko

apni surat pe aisi surat mein

aur phir aadmi ne ghaur kiya

chhipkili ki latif sanat mein

ai KHuda jo kahin nahin maujud

kya likha hai hamari qismat mein

(10748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein In English By Famous Poet Jaun Eliya. Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein in PDF.