Samajh Mein Zindagi Aae Kahan Se

samajh mein zindagi aae kahan se

paDhi hai ye ibarat darmiyan se

yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai

parinde uD rahe hain shaKH-e-jaan se

makan-o-la-makan ke bich kya hai

juda jis se makan hai la-makan se

daricha baz hai yaadon ka aur main

hawa sunta hun main peDon ki zaban se

tha ab tak marka bahar ka darpesh

abhi to ghar bhi jaana hai yahan se

zamana tha wo dil ki zindagi ka

teri furqat ke din laun kahan se

fulan se thi ghazal behtar fulan ki

fulan ke zaKHm achchhe the fulan ke

(3436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajh Mein Zindagi Aae Kahan Se In English By Famous Poet Jaun Eliya. Samajh Mein Zindagi Aae Kahan Se is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Samajh Mein Zindagi Aae Kahan Se for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Samajh Mein Zindagi Aae Kahan Se in PDF.