Ek Intihai Ghair-jazbaati Report

suraj Dhalta hai

aur bam girta hai

aur bam girte hain

suraj Dhalne se

suraj chaDhne tak

chaDhe hue din mein bhi idhar udhar

bam girte rahte hain

lekin koi chiKH sunai nahin deti

pahle deti thi

ab koi nahin rota

gahre gahre gaDhe hain aur gaDhon

mein

galta hua insani mas hai bacha-khucha

aur chaaron jaanib

inTen patthar sariya TuTe hue

darwaze khiDkiyan kutta billi chil

aur Dare Dare kuchh log

udhar udhar se jhankte hain

udhar udhar chhup jate hain

bam girta hai

lekin ek khanDar mein cigarette jalta hai

bujhta hai

jalta hai

Dar ghusse mein Dhalta hai

rocket chalta hai

rocket chalta hai

duniya chiKHti hai

aur bam girta hai

to

kisi ko sunai nahin deta

kisi ko dikhai nahin deta

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Intihai Ghair-jazbaati Report In English By Famous Poet Javaid Anwar. Ek Intihai Ghair-jazbaati Report is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Ek Intihai Ghair-jazbaati Report for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Ek Intihai Ghair-jazbaati Report in PDF.