Ek Ghair-alamti Nazm

adhuri laDkiyo

tum apne kamron mein purane sal ke bosida calender saja kar sochti ho

ye badan umron ki sazish mein na aaenge

tumhein kis ne bataya hai

ghaDi ki suiyon ko rokne se dauDta aur hanpta suraj misal-e-naqsh-e-pa

aflak par jam jaega

tumhein malum hai uryaniyon ko Dhanp kar tum aur uryan ho rahi ho

roz in aankhon ki tikDi mein tumhaare jism tulte hain

har ek shab hostel mein tash ki bazi mein tum ko jit kar ek jashn hota hai

hamari KHwab-gahon mein tumhaare KHwab raushan hain

chali aao

ki bahar barf hai

aur ab hamein tum se juda bistar kahan taslim karte hain

chali aao ki umren raegan hone se bach jaen!

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ghair-alamti Nazm In English By Famous Poet Javaid Anwar. Ek Ghair-alamti Nazm is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Ek Ghair-alamti Nazm for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Ek Ghair-alamti Nazm in PDF.