Bolta Kyun Nahin

tu ne kyun apne galon pe sarson mali

tu ne kyun apni aankhon mein chuna bhara

teri goyai kis dasht ke bheDiye le gae

bolta kyun nahin

bolta kyun nahin tifl-e-masum to kab se bimar hai

kaisa aazar hai jis ne teri shabon se teri nind tere dinon se

khilaune churae

tu soya nahin hai magar jagta kyun nahin

dekhta kyun nahin tere baba ke baalon mein khujli hai aur ungliyan jhaD chuki hain

hisab-e-shab-o-roz karte hue

teri amman ke rasha-zada hath KHush-haaliyan DhunDte DhunDte

in dhule bartanon mein paDe rah gae

subh-e-tabir ne shaKH par sabz hone ki hasrat likhi

aankh ko motiya de diya

dekhta kyun nahin aaj bazar mein jashn-e-iflas hai

shahr ki bhuk chori hui

aur KHabron ne aKHbar gum kar diya

log rote rahe

log hanste rahe

tere bistar pe ashkon ki champa khili

aur tu chup raha

tere mathe pe muskan ka itr chhiDka gaya

aur tu chup raha

meri hanDiya jali

mera chulha bujha

meri jholi se harf-e-dua gir gaya

mere bachche tu lab kholta kyun nahin

bolta kyun nahin

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bolta Kyun Nahin In English By Famous Poet Javaid Anwar. Bolta Kyun Nahin is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Bolta Kyun Nahin for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Bolta Kyun Nahin in PDF.