Barf Ke Shahr Ki Viran Guzar-gahon Par

barf ke shahr ki viran guzargahon par

mere hi naqsh-e-qadam mere sipahi hain

mera hausla hain

zindagiyan

apne gunahon ki panah-gahon mein hain

raqs-kunan

raushaniyan

band darwazon ki darzon se Tapakti hui

qatra qatra

shab ki dahliz pe girti hain kabhi

koi madhosh si le

jama mai oDh ke aati hai guzar jati hai

raat kuchh aur biphar jati hai

aur baDh jati hain KHamosh khaDi diwaren

be-sada sadiyon ke chune se chuni diwaren

jo ki mazi bhi hain mustaqbil bhi

jin ke pichhe hai kahin

aatish-e-lamha-e-maujud ki jo

lamha-e-maujud ki hasrat hai

meri nazm ki hairat hai jise

DhunDhta phirta hun main

ghumta phirta hun main barf bhari raat ki virani mein

an-kahi nazm ki tughyani mein

hain bhanwar kitne guhar kitne hain

kitne alapen pas-e-parda la

chashm-e-na-bina ke aafaq mein

kitne be-rang kare

kitne dhanak rang KHala

kitne sapne hain ki jo

shahr ke tang pulon ke niche

resturanon ki mahak oDh ke so jate hain

kitni ninden hain ki jo apne shabistanon mein

walium chaTti hain

jagti hain

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barf Ke Shahr Ki Viran Guzar-gahon Par In English By Famous Poet Javaid Anwar. Barf Ke Shahr Ki Viran Guzar-gahon Par is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Barf Ke Shahr Ki Viran Guzar-gahon Par for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Barf Ke Shahr Ki Viran Guzar-gahon Par in PDF.