Ashkon Mein Dhanak

is retile badan ki

jhulsi hui ragon mein

hai tel ka tamasha

aur barf ki tahon mein

hai surajon ka girya

ya paniyon ki dahshat

ya KHushk-saliyan hain

mahtab se Tapakta

tarikiyon ka lawa

ruKHsar daghta hai

us subh ka sitara

chiDiyon ke ghonslon mein

barud banTta hai

un choTiyon pe parcham

anjaan wadiyon ke

aur wadiyon pe daim

anjaan choTiyon ke

sayon ki hukmarani

ye mere aansuon mein

rakhi hui dhanak hai

us husn ki kahani

namkin paniyon ki

taskin ban rahi hai

un sabz gumbadon par

baiThe hue kabutar

aankhen nahin jhapakte

aur bargadon ke pichhe

soe hue payambar

KHwabon mein jagte hain

in aainon pe miTTi

in khiDkiyon mein jale

ye jam reza reza

ye tishna-lab nawa-gar

ye be-nawa gadagar

aur retile badan ki

jhulsi hui ragon mein

hai tel ka KHazana

is barf ki tahon mein

in surajon ka girya

sailab kab banega

ye ret kab dhulegi

in KHushk Tahniyon mein

mahtab kab banega

sadiyon ka bojh uThae

sadiyon se muntazir hain

qirtas-e-ahmarin par

dhabbe se raushni ke

la-raib ye risalat

la-raib ye sahife

lekin tere ujale

dimak hi chaTti thi

dimak hi chaTti hai

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashkon Mein Dhanak In English By Famous Poet Javaid Anwar. Ashkon Mein Dhanak is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Ashkon Mein Dhanak for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Ashkon Mein Dhanak in PDF.