Apahij Dinon Ki Nadamat

khiDkiyan khol do

zabt ki khiDkiyan khol do

main khilun june ki dopahar mein

december ki shab mein

sabhi mausamon ke kaTahre mein apni nafi ka main isbaat ban kar khilun

KHwahishon

nind ki jangali jhaDiyon

apne hi KHun ki daldalon mein khilun

bhaiyon ki phaTi aastinon mein

bahnon ke sajdon mein

man-bap ke be-zaban dard mein adh-jale cigareton ka tamasha banun

har nai subh ke bas-sTopon pe Thahri hui laDkiyon ki kitabon mein

maslub hone chalun

main apahij dinon ki nadamat banun

khiDkiyan khol do

chhoD do raste

shahr-e-be-KHwab mein ghumne do mujhe

subh se sham tak sham se subh tak

us andhere ki ek ek karan chumne do mujhe

jis mein bezar lamhon ki sazish hui

aur dahalon se nahle baDe ho gae

jis mein be-nur kirnon ki barish hui

bahr-e-shab-zad mein jo safine utare bhanwar ban gae

KHwab mein KHwab ke phul khilne lage khiDkiyan khol do

jagne do mujhe

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apahij Dinon Ki Nadamat In English By Famous Poet Javaid Anwar. Apahij Dinon Ki Nadamat is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Apahij Dinon Ki Nadamat for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Apahij Dinon Ki Nadamat in PDF.