Wahi Harf Hain Wahi Zarf Hain Wahi Roz-o-shab Hain Sarab Se

wahi harf hain wahi zarf hain wahi roz-o-shab hain sarab se

wo malahaton ka KHumar sa wo mohabbaton ke sahab se

na kisi kaman mein tir hai na gulab hain kisi hath mein

mere shahr ke sabhi log hain kisi ajnabi si kitab se

tere baad bhi wahi Dhang hain wahi naKHl-soKHta rang hain

wahi intizar-e-tuyur hai wahi barg-e-sabz ke KHwab se

jo kabhi ye bab-e-alam khula the har ek halqa-e-chashm mein

pas-e-parda-e-gham-e-dostan faqat apne apne azab se

meri dosti bhi ajib thi wahi aashna wahi ajnabi

kabhi phul bais-e-zaKHm tha kabhi sang bhi the gulab se

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Harf Hain Wahi Zarf Hain Wahi Roz-o-shab Hain Sarab Se In English By Famous Poet Javaid Anwar. Wahi Harf Hain Wahi Zarf Hain Wahi Roz-o-shab Hain Sarab Se is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Wahi Harf Hain Wahi Zarf Hain Wahi Roz-o-shab Hain Sarab Se for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Wahi Harf Hain Wahi Zarf Hain Wahi Roz-o-shab Hain Sarab Se in PDF.