Mujhe Sham Aai Hai Shahr Mein

main safar mein hun

mere jism par

hain hazar rangon ki yurishen

kahin surKH phul khila hua

kahin nil hai

kahin sabz rang hai zahr ka

magar aaina shab-e-shahr ka

meri Dhaal hai

jo visal hai

wahi asl hijr-misal hai

mere samne wahi raste

wahi baam-o-dar

wahi sang hain wahi suliyan

mujhe sham aai hai shahr mein

mujhe sham aai hai shahr mein

jahan aasman ki wusaton se

sawal kasa-ba-dast lauTe the

yaad hai

shab hila jo tujhe yaad hai

wo salib

jis pe machan najm-e-sahar ki thi

wo KHatib

jis ka KHitab abru hua se tha

wo sada-e-zabt ajib thi

kahin koDhiyon ki shifa bani

kahin abr-o-baad se

chob-e-KHushk taDaKH rahi thi sawer se

baDi der se yahan marqadon ke gulab

panw ki dhul hain

main safar mein hun

mujhe sham aai hai shahr mein

mere hath mein bhi kaman hai

mujhe tir de

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Sham Aai Hai Shahr Mein In English By Famous Poet Javaid Anwar. Mujhe Sham Aai Hai Shahr Mein is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Mujhe Sham Aai Hai Shahr Mein for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Mujhe Sham Aai Hai Shahr Mein in PDF.