Bahana DhunDte Rahte Hain Koi Rone Ka

bahana DhunDte rahte hain koi rone ka

hamein ye shauq hai kya aastin bhigone ka

agar palak pe hai moti to ye nahin kafi

hunar bhi chahiye alfaz mein pirone ka

jo fasl KHwab ki tayyar hai to ye jaano

ki waqt aa gaya phir dard koi bone ka

ye zindagi bhi ajab karobar hai ki mujhe

KHushi hai pane ki koi na ranj khone ka

hai pash pash magar phir bhi muskuraata hai

wo chehra jaise ho TuTe hue khilaune ka

(2082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahana DhunDte Rahte Hain Koi Rone Ka In English By Famous Poet Javed Akhtar. Bahana DhunDte Rahte Hain Koi Rone Ka is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Bahana DhunDte Rahte Hain Koi Rone Ka for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Bahana DhunDte Rahte Hain Koi Rone Ka in PDF.