Ba-zahir Kya Hai Jo Hasil Nahin Hai

ba-zahir kya hai jo hasil nahin hai

magar ye to meri manzil nahin hai

ye tuda ret ka hai beach dariya

ye bah jaega ye sahil nahin hai

bahut aasan hai pahchan us ki

agar dukhta nahin to dil nahin hai

musafir wo ajab hai karwan mein

ki jo hamrah hai shamil nahin hai

bas ek maqtul hi maqtul kab hai

bas ek qatil hi to qatil nahin hai

kabhi to raat ko tum raat kah do

ye kaam itna bhi ab mushkil nahin hai

(1495) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-zahir Kya Hai Jo Hasil Nahin Hai In English By Famous Poet Javed Akhtar. Ba-zahir Kya Hai Jo Hasil Nahin Hai is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Ba-zahir Kya Hai Jo Hasil Nahin Hai for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Ba-zahir Kya Hai Jo Hasil Nahin Hai in PDF.