Misal Isko Kahan Hai Koi Zamane Mein

misal is ki kahan hai koi zamane mein

ki sare khone ke gham pae hum ne pane mein

wo shakl pighli to har shai mein Dhal gai jaise

ajib baat hui hai use bhulane mein

jo muntazir na mila wo to hum hain sharminda

ki hum ne der laga di palaT ke aane mein

latif tha wo taKHayyul se KHwab se nazuk

ganwa diya use hum ne hi aazmane mein

samajh liya tha kabhi ek sarab ko dariya

par ek sukun tha hum ko fareb khane mein

jhuka daraKHt hawa se to aandhiyon ne kaha

ziyaada farq nahin jhukne TuT jaane mein

(1795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misal Isko Kahan Hai Koi Zamane Mein In English By Famous Poet Javed Akhtar. Misal Isko Kahan Hai Koi Zamane Mein is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Misal Isko Kahan Hai Koi Zamane Mein for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Misal Isko Kahan Hai Koi Zamane Mein in PDF.