Mujhko Yaqin Hai Sach Kahti Thin Jo Bhi Ammi Kahti Thin

mujh ko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin

jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thin

ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata toD liya

ek wo din jab peD ki shaKHen bojh hamara sahti thin

ek ye din jab sari saDken ruThi ruThi lagti hain

ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahti thin

ek ye din jab jagi raaten diwaron ko takti hain

ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thin

ek ye din jab zehn mein sari ayyari ki baaten hain

ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baaten rahti thin

ek ye din jab lakhon gham aur kal paDa hai aansu ka

ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin

ek ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rahta hai

ek wo ghar jis ghar mein meri buDhi nani rahti thin

(1618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Yaqin Hai Sach Kahti Thin Jo Bhi Ammi Kahti Thin In English By Famous Poet Javed Akhtar. Mujhko Yaqin Hai Sach Kahti Thin Jo Bhi Ammi Kahti Thin is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Mujhko Yaqin Hai Sach Kahti Thin Jo Bhi Ammi Kahti Thin for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Mujhko Yaqin Hai Sach Kahti Thin Jo Bhi Ammi Kahti Thin in PDF.