Shahr Ke Dukan-daro Karobar-e-ulfat Mein Sud Kya Ziyan Kya Hai Tum Na Jaan Paoge

shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge

dil ke dam kitne hain KHwab kitne mahnge hain aur naqd-e-jaan kya hai tum na jaan paoge

koi kaise milta hai phul kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai sans kaise rukti hai

kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauq ki zaban kya hai tum na jaan paoge

wasl ka sukun kya hai hijr ka junun kya hai husn ka fusun kya hai ishq ka darun kya hai

tum mariz-e-danai maslahat ke shaidai rah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paoge

zaKHm kaise phalte hain dagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai

ashk kya hai nale kya dasht kya hai chhaale kya aah kya fughan kya hai tum na jaan paoge

na-murad dil kaise subh-o-sham karte hain kaise zinda rahte hain aur kaise marte hain

tum ko kab nazar aai gham-zadon ki tanhai zist be-aman kya hai tum na jaan paoge

jaanta hun main tum ko zauq-e-shaeri bhi hai shaKHsiyat sajaane mein ek ye mahri bhi hai

phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyan kya hai tum na jaan paoge

(3579) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ke Dukan-daro Karobar-e-ulfat Mein Sud Kya Ziyan Kya Hai Tum Na Jaan Paoge In English By Famous Poet Javed Akhtar. Shahr Ke Dukan-daro Karobar-e-ulfat Mein Sud Kya Ziyan Kya Hai Tum Na Jaan Paoge is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Shahr Ke Dukan-daro Karobar-e-ulfat Mein Sud Kya Ziyan Kya Hai Tum Na Jaan Paoge for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Shahr Ke Dukan-daro Karobar-e-ulfat Mein Sud Kya Ziyan Kya Hai Tum Na Jaan Paoge in PDF.