Sukhi Tahni Tanha ChiDiya Phika Chand

sukhi Tahni tanha chiDiya phika chand

aankhon ke sahra mein ek nami ka chand

us mathe ko chume kitne din bite

jis mathe ki KHatir tha ek Tika chand

pahle tu lagti thi kitni begana

kitna mubham hota hai pahli ka chand

kam ho kaise in KHushiyon se tera gham

lahron mein kab bahta hai naddi ka chand

aao ab hum is ke bhi TukDe kar len

Dhaka rawalpinDi aur dilli ka chand

(1826) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sukhi Tahni Tanha ChiDiya Phika Chand In English By Famous Poet Javed Akhtar. Sukhi Tahni Tanha ChiDiya Phika Chand is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Sukhi Tahni Tanha ChiDiya Phika Chand for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Sukhi Tahni Tanha ChiDiya Phika Chand in PDF.