Wo Dhal Raha Hai To Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai

wo Dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai

zamin suraj ki ungliyon se phisal rahi hai

jo mujh ko zinda jala rahe hain wo be-KHabar hain

ki meri zanjir dhire dhire pighal rahi hai

main qatl to ho gaya tumhaari gali mein lekin

mere lahu se tumhaari diwar gal rahi hai

na jalne pate the jis ke chulhe bhi har sawere

suna hai kal raat se wo basti bhi jal rahi hai

main jaanta hun ki KHamushi mein hi maslahat hai

magar yahi maslahat mere dil ko khal rahi hai

kabhi to insan zindagi ki karega izzat

ye ek ummid aaj bhi dil mein pal rahi hai

(2160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dhal Raha Hai To Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai In English By Famous Poet Javed Akhtar. Wo Dhal Raha Hai To Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Wo Dhal Raha Hai To Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Wo Dhal Raha Hai To Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai in PDF.