Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka

wo zamana guzar gaya kab ka

tha jo diwana mar gaya kab ka

DhunDhta tha jo ek nai duniya

luT ke apne ghar gaya kab ka

wo jo laya tha hum ko dariya tak

par akele utar gaya kab ka

us ka jo haal hai wahi jaane

apna to zaKHm bhar gaya kab ka

KHwab-dar-KHwab tha jo shiraaza

ab kahan hai bikhar gaya kab ka

(18816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka In English By Famous Poet Javed Akhtar. Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Wo Zamana Guzar Gaya Kab Ka in PDF.