Ajib Qissa Hai

ajib qissa hai

jab ye duniya samajh rahi thi

tum apni duniya mein ji rahi ho

main apni duniya mein ji raha hun

to hum ne sari nigahon se dur

ek duniya basai thi

jo ki meri bhi thi

tumhaari bhi thi

jahan fazaon mein

donon ke KHwab jagte the

jahan hawaon mein

donon ki sargoshiyan ghuli thin

jahan ke phulon mein

donon ki aarzu ke sab rang

khil rahe the

jahan pe donon ki juraton ke

hazar chashme ubal rahe the

na waswase the na ranj-o-gham the

sukun ka gahra ek samundar tha

aur hum the

ajib qissa hai

sari duniya ne

jab ye jaana

ki hum ne sari nigahon se dur

ek duniya basai hai to

har ek abru ne jaise hum par kaman tani

tamam peshaniyon pe ubhrin

gham aur ghusse ki gahri shiknen

kisi ke lahje se talKHi chhalki

kisi ki baaton mein turshi aai

kisi ne chaha

ki koi diwar hi uTha de

kisi ne chaha

hamari duniya hi wo miTa de

magar zamane ko haarna tha

zamana haara

ye sari duniya ko manna hi paDa

hamare KHayal ki ek si zamin hai

hamare KHwabon ka ek jaisa hi aasman hai

magar purani ye dastan hai

ki hum pe duniya

ab ek arse se mehrban hai

ajib qissa hai

jab ki duniya ne

kab ka taslim kar liya hai

hum ek duniya ke rahne wale hain

sach to ye hai

tum apni duniya mein ji rahi ho

main apni duniya mein ji raha hun!

(1710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Qissa Hai In English By Famous Poet Javed Akhtar. Ajib Qissa Hai is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Ajib Qissa Hai for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Ajib Qissa Hai in PDF.