Ajib Aadmi Tha Wo

ajib aadmi tha wo

mohabbaton ka git tha

baghawaton ka rag tha

kabhi wo sirf phul tha

kabhi wo sirf aag tha

ajib aadmi tha wo

wo muflison se kahta tha

ki din badal bhi sakte hain

wo jabiron se kahta tha

tumhaare sar pe sone ke jo taj hain

kabhi pighal bhi sakte hain

wo bandishon se kahta tha

main tum ko toD sakta hun

sahulaton se kahta tha

main tum ko chhoD sakta hun

hawaon se wo kahta tha

main tum ko moD sakta hun

wo KHwab se ye kahta tha

ki tujh ko sach karunga main

wo aarizon se kahta tha

main tera ham-safar hun

tere sath hi chalunga main

tu chahe jitni dur bhi bana le apni manzilen

kabhi nahin thakunga main

wo zindagi se kahta tha

ki tujh ko main sajaunga

tu mujh se chand mang le

main chand le ke aaunga

wo aadmi se kahta tha

ki aadmi se pyar kar

ujaD rahi hai ye zamin

kuchh is ka ab singhaar kar

ajib aadmi tha wo

wo zindagi ke sare gham

tamam dukh

har ek sitam se kahta tha

main tum se jit jaunga

ki tum ko to miTa hi dega

ek roz aadmi

bhula hi dega ye jahan

meri alag hai dastan

wo aankhen jin mein KHwab hain

wo dil hai jin mein aarzu

wo bazu jin mein hai sakat

wo honT jin pe lafz hain

rahunga un ke darmiyan

ki jab main bit jaunga

ajib aadmi tha wo

(3198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Aadmi Tha Wo In English By Famous Poet Javed Akhtar. Ajib Aadmi Tha Wo is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Ajib Aadmi Tha Wo for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Ajib Aadmi Tha Wo in PDF.