Bujhti Hui Aaankhon Ki Umidon Ka Diya Hun

bujhti hui aaankhon ki umidon ka diya hun

main tez hawaon ki hatheli pe rakha hun

main apni hi aawaz ki pahchan mein gum hun

tanhai ke sahra mein daraKHton ki sada hun

main roz nikal paDta hun anjaane safar par

manzil ke qarib aa ke bhi manzil se juda hun

har subh nae karb ke chehron se mulaqat

har sham bichhaDne ka sabab puchh raha hun

ye KHun mein Dube hue masum farishte

KHamosh larazte hue honTon ki dua hun

is darja hun sahma hua suraj ki tapish se

girti hui diwar ke sae mein khaDa hun

ai KHak-e-watan ab to wafaon ka sila de

main TuTti sanson ki fasilon pe khaDa hun

palkon pe sajae hue sachchai ki shamen

na-karda gunahon ki saza kaT raha hun

dastar salamat na ridaen na qabaen

har lamha sulagte hue KHwabon ki chita hun

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhti Hui Aaankhon Ki Umidon Ka Diya Hun In English By Famous Poet Javed Ikram Farooqi. Bujhti Hui Aaankhon Ki Umidon Ka Diya Hun is written by Javed Ikram Farooqi. Read famous Poem Bujhti Hui Aaankhon Ki Umidon Ka Diya Hun for youth and Student by Javed Ikram Farooqi. Free Download Bujhti Hui Aaankhon Ki Umidon Ka Diya Hun in PDF.