Jagti Aaankhon Ko KHwabon Ki Saza De Jaega

jagti aaankhon ko KHwabon ki saza de jaega

phir purana dost koi dukh naya de jaega

jaane kab TuTega ye lafz o maani ka tilism

jaane kab wo gunge lafzon ko sada de jaega

buDhi aaankhon ne sajaya hai jawan beTe ka KHwab

kanpte hathon mein ek KHat Dakiya de jaega

raat din lipTa hai pairon se mere andha safar

ajnabi ehsas manzil ka pata de jaega

muskuraati zindagi ke KHun ka pyasa uqab

waqt ke hathon mein zaKHmi faKHta de jaega

jhuT is se pahle to bachchon ke honTon par na tha

bhuk ka aaseb un ko aur kya de jaega

raat ke aangan mein suraj ke musafir ka qayam

phul se jismon ko zaKHmon ki qaba de jaega

mere munsif faisla tera sar-e-taslim KHam

jo bhi kuchh hoga muqaddar ka likha de jaega

phir dulhan banne se pahle muflisi bewa hui

phir amir-e-shahr KHwabon ko chita de jaega

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagti Aaankhon Ko KHwabon Ki Saza De Jaega In English By Famous Poet Javed Ikram Farooqi. Jagti Aaankhon Ko KHwabon Ki Saza De Jaega is written by Javed Ikram Farooqi. Read famous Poem Jagti Aaankhon Ko KHwabon Ki Saza De Jaega for youth and Student by Javed Ikram Farooqi. Free Download Jagti Aaankhon Ko KHwabon Ki Saza De Jaega in PDF.