Phulon Ko Chhune Se Nashtar ZaKHmi Hoga

phulon ko chhune se nashtar zaKHmi hoga

ab ke sar mein lag kar patthar zaKHmi hoga

kafi din ke baad safar se lauTa hun main

jism thakan se chur hai bistar zaKHmi hoga

mausam ke chehre ki shiknen kahti hain

aanhken hongi ya phir manzar zaKHmi hoga

maujen dariya ke sine par kya likhti hain

socha to main andar andar zaKHmi hoga

barg-e-gul par suraj ke neze mat rakkho

bholi-bhaali titli ka par zaKHmi hoga

aaankhon ki basti mein jab bazar sajega

kachche sapnon ka saudagar zaKHmi hoga

main hathon mein KHanjar le kar soch raha hun

lauTunga to mera bhi ghar zaKHmi hoga

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Ko Chhune Se Nashtar ZaKHmi Hoga In English By Famous Poet Javed Ikram Farooqi. Phulon Ko Chhune Se Nashtar ZaKHmi Hoga is written by Javed Ikram Farooqi. Read famous Poem Phulon Ko Chhune Se Nashtar ZaKHmi Hoga for youth and Student by Javed Ikram Farooqi. Free Download Phulon Ko Chhune Se Nashtar ZaKHmi Hoga in PDF.