Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare

daim ho us ke husn ki nuzhat KHuda kare

aur mujh mein ye junun ki lazzat KHuda kare

sanjidgi ka rang ho thoDa sa pyar mein

baqi magar ho rang-e-shararat KHuda kare

muddat se koi tir na KHanjar na sang-o-KHisht

dushman ho mera zinda salamat KHuda kare

ghamgin hun latife hain phir bhi zaban par

qaem rahe ye zauq-e-zarafat KHuda kare

poshida hain gunahon mein barbaadiyon ke raaz

nazil ho dil pe harf-e-nadamat KHuda kare

majmea ki kaifiyat ka manzar ajib tha

baDhta rahe ye zor-e-KHitabat KHuda kare

kahte hain apni auron ki sunte nahin hain log

ho jae kash shauq-e-samaat KHuda kare

kahte hain ahl-e-din ki taqwa hi din hai

wo jaan jaen kash iqamat KHuda kare

meri dua yahi hai sharik-e-safar ke sath

aa jae hum ko husn-e-nizamat KHuda kare

taKHliq hai bulandi-e-afkar ki ata

aae tere kalam mein rifat KHuda kare

har shaKHs kash sikh le aadab pyar ke

dil mein na ho kisi ke kudurat KHuda kare

'jawed' chhin sakta hai kya koi us ka rizq

jis shaKHs ki hamesha kifalat KHuda kare

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare In English By Famous Poet Javed Jameel. Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare is written by Javed Jameel. Read famous Poem Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Daim Ho Uske Husn Ki Nuzhat KHuda Kare in PDF.