Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan

hain mere wajud mein maujzan meri ulfaton ki nishaniyan

na huin nasib jo qurbaten unhin qurbaton ki nishaniyan

thaki haari shakl niDhaal si kisi imtihan ke sawal si

mere jism-o-jaan pe sabt hain teri furqaton ki nishaniyan

kabhi aankhen ghaiz se tar-ba-tar kabhi lan-tan zaban par

mujhe meri jaan se aziz hain teri nafraton ki nishaniyan

ho wo bu-e-gul ki ho ragni ho wo aabshaar ki chandni

hain qadam qadam pe saji huin teri nuzhaton ki nishaniyan

kai bar roz kai jagah meri ruh paDhti hai fatiha

mere pure jism mein dafn hain meri hasraton ki nishaniyan

kahin nachti huin mastiyan kahin bhuk se hain laDaiyan

kahin daulaton ke muzahire kahin ghurbaton ki nishaniyan

wo zamin ho ki ho aasman wo pahaD hon ki hon wadiyan

hain chahaar samt mere KHuda teri rahmaton ki nishaniyan

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan In English By Famous Poet Javed Jameel. Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan is written by Javed Jameel. Read famous Poem Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Hain Mere Wajud Mein Maujzan Meri Ulfaton Ki Nishaniyan in PDF.