Jaisi Hai Badan Mein Gul-ruKH Ke Waisi Hi Nazakat Baaton Mein

jaisi hai badan mein gul-ruKH ke waisi hi nazakat baaton mein

honTon mein hai jitni shirini utni hi halawat baaton mein

kya KHub tawazun chalne mein kya KHub latafat hansne mein

kya KHub adaon mein shoKHi kya KHub shararat baaton mein

aankhon mein hai nashsha sa chhaya ruKHsar hue surKHi mail

honTon pe larazte hain arman pur-kaif hararat baaton mein

zinat ka tariqa kya kahne fashion ka saliqa kya kahne

aadab ki rangat kaamon mein ashaar ki nikhat baaton mein

betab hain jis ko sunne ko wo baat na laenge lab par

mashur wo rakkhenge phir bhi aisi hai nafasat baaton mein

parwaz mein hasti ki hum ko kitni hi bulandi ho hasil

aae na mizajon mein sheKHi aae na raunat baaton mein

hal sare masail ho jaen aapas ki kudurat miT jae

ho jhuT se sab ko be-zari ho rang-e-sadaqat baaton mein

is daur ke shaer mein logo tahzib o shuur o soz kahan

mear wahi hai sheron ka jaisi hai jihaalat baaton mein

'jawed' ajab ahbab tere karte hain ye zaea waqt tera

hain ilm se koson dur magar phir bhi hai tawalat baaton mein

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaisi Hai Badan Mein Gul-ruKH Ke Waisi Hi Nazakat Baaton Mein In English By Famous Poet Javed Jameel. Jaisi Hai Badan Mein Gul-ruKH Ke Waisi Hi Nazakat Baaton Mein is written by Javed Jameel. Read famous Poem Jaisi Hai Badan Mein Gul-ruKH Ke Waisi Hi Nazakat Baaton Mein for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Jaisi Hai Badan Mein Gul-ruKH Ke Waisi Hi Nazakat Baaton Mein in PDF.