Kaisa Saman Kaisi Manzil Kaisi Rah Kaisa Safar

kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar

ham-safar hi jab nahin hai kaise phir hoga safar

nafs-e-ammara se nafs-e-mutmainna tak ki rah

aatishin mausam zamin pur-KHar aur tanha safar

hasrat-e-didar aisi faisla-kun thi meri

lamhe bhar mein ho gaya ek umr sa lamba safar

pahle manzil samne thi ab nazar se dur hai

jaane kaise kya hua kis moD par bhaTka safar

in chaTanon mein kahan ye hausla roken mujhe

karta hun 'jawed' main bhi surat-e-dariya safar

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisa Saman Kaisi Manzil Kaisi Rah Kaisa Safar In English By Famous Poet Javed Jameel. Kaisa Saman Kaisi Manzil Kaisi Rah Kaisa Safar is written by Javed Jameel. Read famous Poem Kaisa Saman Kaisi Manzil Kaisi Rah Kaisa Safar for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Kaisa Saman Kaisi Manzil Kaisi Rah Kaisa Safar in PDF.