Karta Hai Bekar Ki Baaten Kaam Ki Koi Baat Nahin

karta hai bekar ki baaten kaam ki koi baat nahin

ghairon jaisi baat hai teri apnon jaisi baat nahin

jam sabhi ke hathon mein hai hath hamare KHali hain

khullam-khulla na-insafi saqi achchhi baat nahin

mahfil mein jis ko bhi dekho ruTha ruTha lagta hai

kaDwahaT hai aawazon mein koi miThi baat nahin

kalima tera sapna tera fikr teri aur tera KHayal

sirf teri hi baat zaban par aur kisi ki baat nahin

kahne ko to kah di tu ne apne dil ki sari baat

sachchai hai lekin ye ki ye bhi sari baat nahin

kaise milen hum tum se yaro kaise bulaen ghar apne

gham hi gham hain pas hamare koi KHushi ki baat nahin

na-insafi har jaanib hai har su zulmat hi zulmat

dekh ke ye sab kyun sab chup hain kahte haq ki baat nahin

pahle kya kya kuchh kah Dala phir ye kah kar saf gae

kar Dali hai bhul zaban ne sochi-samjhi baat nahin

tere liye hi jita hun aur tere liye hi marta hun

munh dekhi 'jawed' hain baaten dil se nikli baat nahin

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karta Hai Bekar Ki Baaten Kaam Ki Koi Baat Nahin In English By Famous Poet Javed Jameel. Karta Hai Bekar Ki Baaten Kaam Ki Koi Baat Nahin is written by Javed Jameel. Read famous Poem Karta Hai Bekar Ki Baaten Kaam Ki Koi Baat Nahin for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Karta Hai Bekar Ki Baaten Kaam Ki Koi Baat Nahin in PDF.