Kya Nigahon Ne Koi KHwab Sajaya Na Kabhi

kya nigahon ne koi KHwab sajaya na kabhi

kya kisi ko bhi qarib apne bulaya na kabhi

aate rahne ke liye shukriya ai yaad ki dost

main hi mujrim hun teri yaad mein aaya na kabhi

us ki album mein to taswir meri hai maujud

us ne taswir ko sine se lagaya na kabhi

main tujhe kaise bata deta dil-e-naz ka haal

haal-e-dil main ne to KHud ko bhi bataya na kabhi

dil chura kar mera kahta hai mujhe chor ye ab

KHud hi chori hua us ne to churaya na kabhi

qahqahe auron ki KHushiyon mein rahe hain shamil

mere haalat ne KHud mujh ko hansaya na kabhi

main ne auron se suna hai ki nasim aati hai

kyun mujhe waqt-e-sahar us ne jagaya na kabhi

teri 'jawed' ye aadat hai KHuda ko bhi pasand

tu ne nazron se kisi ko bhi giraya na kabhi

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Nigahon Ne Koi KHwab Sajaya Na Kabhi In English By Famous Poet Javed Jameel. Kya Nigahon Ne Koi KHwab Sajaya Na Kabhi is written by Javed Jameel. Read famous Poem Kya Nigahon Ne Koi KHwab Sajaya Na Kabhi for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Kya Nigahon Ne Koi KHwab Sajaya Na Kabhi in PDF.