Wo Chandni Mein Kuchh Aisa Tha Tar-ba-tar Tanha

wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha

main dekhta raha manzar ye raat bhar tanha

hui hai jaise abhi tak guzar-basar tanha

guzar Dalenge baqi ka bhi safar tanha

pukarta hun tera nam jaise sahra mein

hamesha aati hai aawaz lauT kar tanha

uqab uDta hai jis tarah aasmanon mein

bulandiyon mein kiya karta hun safar tanha

hamesha rahta hai hamrah qafila us ke

musibat aati nahin hai kisi ke ghar tanha

wo muntazir hai koi us ke sae mein aae

khaDa hai dur rah-e-haq pe ek shajar tanha

sharik qafila hota to jashn ho jata

mile the KHizr safar tha mera magar tanha

chali gai hai tere sath zindagi 'jawed'

main ho gaya hun tere baad kis qadar tanha

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Chandni Mein Kuchh Aisa Tha Tar-ba-tar Tanha In English By Famous Poet Javed Jameel. Wo Chandni Mein Kuchh Aisa Tha Tar-ba-tar Tanha is written by Javed Jameel. Read famous Poem Wo Chandni Mein Kuchh Aisa Tha Tar-ba-tar Tanha for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Wo Chandni Mein Kuchh Aisa Tha Tar-ba-tar Tanha in PDF.