Wahi Din Hai KHauf-o-hiras Ka Wahi Haal Abhi Bhi Hai Pyas Ka

wahi din hai KHauf-o-hiras ka wahi haal abhi bhi hai pyas ka

wahi sham bistar-e-marg si wahi silsila shab-e-yas ka

wahi aasman hai wahi faza wahi nashsha sham pe hai bapa

wahi dur shahr se hai jagah wahi sabz farsh hai ghas ka

na rahe bashir-o-nazir hum na rahe fahim-o-basir hum

na dikhai deta hai dur ka na nazar hi aata hai pas ka

tujhe chahiye jo koi KHabar meri kawishon mein talash kar

mera e'tibar hai aql par main asir kab hun qayas ka

jo ghina ke sut se ho bana jo raza ki sui se ho sila

jo ranga ho shukr ke rang se mujhe shauq aise libas ka

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Din Hai KHauf-o-hiras Ka Wahi Haal Abhi Bhi Hai Pyas Ka In English By Famous Poet Javed Jameel. Wahi Din Hai KHauf-o-hiras Ka Wahi Haal Abhi Bhi Hai Pyas Ka is written by Javed Jameel. Read famous Poem Wahi Din Hai KHauf-o-hiras Ka Wahi Haal Abhi Bhi Hai Pyas Ka for youth and Student by Javed Jameel. Free Download Wahi Din Hai KHauf-o-hiras Ka Wahi Haal Abhi Bhi Hai Pyas Ka in PDF.