Marna Taqdir Hai Zanjir Baja Lo Pahle

marna taqdir hai zanjir baja lo pahle

kuchh ho sayyaad se aankhen to mila lo pahle

abr tum khul ke barasna sar-e-gulzar-e-hayat

dushman-e-gul pe zara barq gira lo pahle

dar ki samt rawan ho magar ai diwano

ek jahan dad-gar apna to bana lo pahle

ishq ka zahr jo ghul jae to pi lo be-gham

jam-e-mai aur zara tez mila lo pahle

arsh-e-taqdis ko jate hue ai aadam-e-nau

kahkashan gard hai raste se haTa lo pahle

tum ne sun rakkha hai aazadi-e-'jawed' ka nam

marg ki aankh se aankhen to mila lo pahle

(464) Peoples Rate This

Javed Lahori's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Marna Taqdir Hai Zanjir Baja Lo Pahle In English By Famous Poet Javed Lahori. Marna Taqdir Hai Zanjir Baja Lo Pahle is written by Javed Lahori. Read famous Poem Marna Taqdir Hai Zanjir Baja Lo Pahle for youth and Student by Javed Lahori. Free Download Marna Taqdir Hai Zanjir Baja Lo Pahle in PDF.