Aag Jab ZaKHm-e-jigar Be-intiha Dene Lage

aag jab zaKHm-e-jigar be-intiha dene lage

chaara-gar ghabra ke uf uf ki sada dene lage

ab kahan tha main jo deta is mohabbat ka jawab

jis ki turbat dekh li mujh ko sada dene lage

daman-e-sabr-o-tahammul hath se KHud chhuT gaya

TuT kar zaKHmon ke Tanke jab sada dene lage

hijr ki raaton ke sannaTe mein uf ri be-KHudi

hum dil-e-gum-gashta ko apni sada dene lage

hath bhi ghabra ke main ne qalb-e-nazuk par rakhe

jab zara si choT mein shishe sada dene lage

jaankani ka waqt bhi baqi rahe tum bhi raho

dekhne aae to kya achchhi dagha dene lage

mai-kade mein hum se maston ki KHushi kya ranj kya

mil gae do-chaar saghar aur dua dene lage

munhasir marne pe ho jab surat-e-taskin-e-dil

kosna main is ko samjhun jo dua dene lage

zalim-o-mazlum ka mahfil mein kal nikla tha zikr

wo hamara aur hum un ka pata dene lage

marne wale phir na ai 'jawed' kholen apni aankh

gar qasam baDhti hui un ki haya dene lage

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Jab ZaKHm-e-jigar Be-intiha Dene Lage In English By Famous Poet Javed Lakhnvi. Aag Jab ZaKHm-e-jigar Be-intiha Dene Lage is written by Javed Lakhnvi. Read famous Poem Aag Jab ZaKHm-e-jigar Be-intiha Dene Lage for youth and Student by Javed Lakhnvi. Free Download Aag Jab ZaKHm-e-jigar Be-intiha Dene Lage in PDF.