Ab Tak To Kami Kuchh Na Hui Dagh-e-jigar Mein

ab tak to kami kuchh na hui dagh-e-jigar mein

barson se charagh ek hi jalta raha ghar mein

zahir mein hanse wo magar aansu nikal aae

tha koi asar bhi mere marne ki KHabar mein

rang uDne na dunga teri taswir ke ruKH se

baqi abhi kuchh KHun ke KHatre hain jigar mein

tausi-e-KHayalat ki had mil nahin sakti

chhoTa sa bayaban nazar aa jata hai ghar mein

ab baDh nahin sakta gham-e-duniya ye KHushi hai

zaKHmon ki jagah tak nahin baqi hai jigar mein

in ankhDiyon ke surKH main Dore nahin bhula

ye bijliyan aisi hain jo ab tak hain nazar mein

na-waqif-e-anjam ka dil hota hai kitna

KHud ro diya dekhe jo kabhi zaKHm jigar mein

us daur mein aap aae the ai hazrat-e-'jawed'

jis ahd mein kuchh farq na tha aib-o-hunar mein

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tak To Kami Kuchh Na Hui Dagh-e-jigar Mein In English By Famous Poet Javed Lakhnvi. Ab Tak To Kami Kuchh Na Hui Dagh-e-jigar Mein is written by Javed Lakhnvi. Read famous Poem Ab Tak To Kami Kuchh Na Hui Dagh-e-jigar Mein for youth and Student by Javed Lakhnvi. Free Download Ab Tak To Kami Kuchh Na Hui Dagh-e-jigar Mein in PDF.