Pyasi Thi Ye KHud Mere Lahu Ki

pyasi thi ye KHud mere lahu ki

thi tez chhuri rag-e-gulu ki

dil kho ke na main ne justuju ki

samjha tha ki bund thi lahu ki

tum pas jo aae kho gae hum

jab tum na mile to justuju ki

sab zaKHm ke Tanke sath TuTe

hajat na rahi koi rafu ki

KHud kho gae hum jahan mein aaKHir

is had pe kisi ki justuju ki

dekha ki zamin se aag nikli

jab bund Tapak paDi lahu ki

roi wahan shama yan hanse phul

wo qabr meri thi ye adu ki

wo samne aae ghash hue ye

musa ki nazar kahan pe chuki

tiron pe kisi ke banT bhi dun

khai thi qasam isi lahu ki

is dagh ko main ne dil mein rakkha

dushman ne na jis ki aarzu ki

'jawed' wo lash kyun uThaen

marzi bhi to puchh len adu ki

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyasi Thi Ye KHud Mere Lahu Ki In English By Famous Poet Javed Lakhnvi. Pyasi Thi Ye KHud Mere Lahu Ki is written by Javed Lakhnvi. Read famous Poem Pyasi Thi Ye KHud Mere Lahu Ki for youth and Student by Javed Lakhnvi. Free Download Pyasi Thi Ye KHud Mere Lahu Ki in PDF.