Kaghaz Ki Naw Kya Hui Dariya Kidhar Gaya

kaghaz ki naw kya hui dariya kidhar gaya

bachpan ko jo mila tha wo lamha kidhar gaya

madum sab huin wo tajassus ki bijliyan

hairat mein Dal de wo tamasha kidhar gaya

phir yun hua ki log mashinon mein Dhal gae

wo dost lab pe le ke dilasa kidhar gaya

kya dasht-e-jaan ki soKHta-haali kahen ise

chahat mein chand chhune ka jazba kidhar gaya

tarikiyan hain sath mere aur safar mudam

kal tak tha ham-qadam jo farishta kidhar gaya

jo rahnuma the mere kahan hain wo naqsh-e-pa

manzil pe chhoDta tha jo rasta kidhar gaya

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Ki Naw Kya Hui Dariya Kidhar Gaya In English By Famous Poet Javed Nadeem. Kaghaz Ki Naw Kya Hui Dariya Kidhar Gaya is written by Javed Nadeem. Read famous Poem Kaghaz Ki Naw Kya Hui Dariya Kidhar Gaya for youth and Student by Javed Nadeem. Free Download Kaghaz Ki Naw Kya Hui Dariya Kidhar Gaya in PDF.