Uske Apne Darmiyan Istada Ek Diwar Main

us ke apne darmiyan istada ek diwar main

ek dasht-e-shadmani us mein ek aazar main

main nahin tha tu hi tha aalam mein lekin tere baad

ai KHuda-e-izz-o-jal tera hua izhaar main

shama se hai nur jaisa tera mera insilak

warna tu bahti hawa hai phul ki mahkar main

baKHt ki sazish kahun ya phir mashiyyat ghaib ki

tir-zan koi bhi ho lekin hadaf har bar main

kal talak us ka raha tha dil ko mere ishtiyaq

aaj wo nazdik hai par us se hun bezar main

ek na ek din to musaKHKHar us ko hona hai 'nadim'

wo KHalaon ka makin hai nur ki raftar main

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Apne Darmiyan Istada Ek Diwar Main In English By Famous Poet Javed Nadeem. Uske Apne Darmiyan Istada Ek Diwar Main is written by Javed Nadeem. Read famous Poem Uske Apne Darmiyan Istada Ek Diwar Main for youth and Student by Javed Nadeem. Free Download Uske Apne Darmiyan Istada Ek Diwar Main in PDF.