ZaKHm Agar Gul Hai To Phir Us Ka Samar Bhi Hoga

zaKHm agar gul hai to phir us ka samar bhi hoga

hijr ki raat mein poshida qamar bhi hoga

hausla dad ke qabil hai yaqinan us ka

us ko malum tha dariya mein bhanwar bhi hoga

kaun sunta hai yahan past-sadai itni

tum agar chiKH ke bolo to asar bhi hoga

kuchh na kuchh raKHt-e-safar pas bacha kar rakhna

ek safar aur pas-e-KHatm-e-safar bhi hoga

mutmain rahiye yunhi KHud ko tasalli dije

yahi jina yahi jine ka hunar bhi hoga

umr guzri hai isi ek tamanna mein 'nadim'

mujh se be-ghar ka kahin shahr mein ghar bhi hoga

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Agar Gul Hai To Phir Us Ka Samar Bhi Hoga In English By Famous Poet Javed Nadeem. ZaKHm Agar Gul Hai To Phir Us Ka Samar Bhi Hoga is written by Javed Nadeem. Read famous Poem ZaKHm Agar Gul Hai To Phir Us Ka Samar Bhi Hoga for youth and Student by Javed Nadeem. Free Download ZaKHm Agar Gul Hai To Phir Us Ka Samar Bhi Hoga in PDF.