Bahut Mazbut Logon Ko Bhi Ghurbat ToD Deti Hai

bahut mazbut logon ko bhi ghurbat toD deti hai

ana ke sab hisaron ko zarurat toD deti hai

jhukaya ja nahin sakta jinhen jabr-o-adawat se

unhen bhi ek ishaare mein mohabbat toD deti hai

kisi ke samne jab hath phailati hai majburi

to us majbur ko andar se ghairat toD deti hai

taras khate hain jab apne sisak uThti hai KHuddari

har ek KHuddar insan ko inayat toD deti hai

samundar par ja kar jo bahut KHush-haal dikhte hain

ye un ke dil se puchho kaise hijrat toD deti hai

nibhana dil ke rishton ko nahin hai khel bachchon ka

ki in shishon ko ek halki si ghaflat toD deti hai

(1588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Mazbut Logon Ko Bhi Ghurbat ToD Deti Hai In English By Famous Poet Javed Naseemi. Bahut Mazbut Logon Ko Bhi Ghurbat ToD Deti Hai is written by Javed Naseemi. Read famous Poem Bahut Mazbut Logon Ko Bhi Ghurbat ToD Deti Hai for youth and Student by Javed Naseemi. Free Download Bahut Mazbut Logon Ko Bhi Ghurbat ToD Deti Hai in PDF.