Ghar Ki Tasalliyon Mein Jawaz-e-hunar To Hai

ghar ki tasalliyon mein jawaz-e-hunar to hai

in jangalon mein raat ka jhuTa safar to hai

jis ke liye hawaon se munh ponchhti hai nind

is jurat-e-hisab mein KHwabon ka Dar to hai

khulti hain aasman mein samundar ki khiDkiyan

be-din raston pe kahin apna ghar to hai

raushan koi charagh mazar-e-hawa pe ho

palkon pe aaj raat ghubar-e-sahar to hai

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ki Tasalliyon Mein Jawaz-e-hunar To Hai In English By Famous Poet Javed Nasir. Ghar Ki Tasalliyon Mein Jawaz-e-hunar To Hai is written by Javed Nasir. Read famous Poem Ghar Ki Tasalliyon Mein Jawaz-e-hunar To Hai for youth and Student by Javed Nasir. Free Download Ghar Ki Tasalliyon Mein Jawaz-e-hunar To Hai in PDF.