Lahraata Hai KHwab Sa Aanchal Aur Main Likhta Jata Hun
lahraata hai KHwab sa aanchal aur main likhta jata hun
palken nind se bojhal aur main likhta jata hun
jaise mere kan mein koi chupke chupke kahta hai
ishq junun hai ishq hai pagal aur main likhta jata hun
chhoTi chhoTi baat pe us ki aankhen bhar bhar aati hain
phailta rahta hai phir kajal aur main likhta jata hun
aankh mein us ke aks ki aahaT dastak deti rahti hai
bhar jati hai ashk se chhagal aur main likhta jata hun
maddham maddham sans ki KHush-bu miThe miThe dard ki aanch
rah rah ke karti hai bekal aur main likhta jata hun
dhime suron mein dard ka panchhi apni dhun mein gata hai
pyasi ruhen pyas ka jangal aur main likhta jata hun
us ke pyar ki bunden Tip Tip dil mein girti rahti hain
narm gudaz o shoKH o chanchal aur main likhta jata hun
(994) Peoples Rate This