Mahsus Karoge To Guzar Jaoge Jaan Se

mahsus karoge to guzar jaoge jaan se

wo haal hai andar se ki bahar hai bayan se

wahshat ka ye aalam ki pas-e-chaak gareban

ranjish hai bahaaron se ulajhte hain KHizan se

ek umr hui us ke dar-o-baam ko takte

aawaz koi aai yahan se na wahan se

uThte hain to dil baiThne lagta hai sar-e-bazm

baiThe hain to ab mar ke hi uThenge yahan se

har moD pe wa hain meri aankhon ke dariche

ab dekhna ye hai ki wo jata hai kahan se

kya nawak-e-mizhgan se rakhen zaKHm ki ummid

chalte hain yahan tir kisi aur kaman se

aankhon se ayan hota hai aalam mere dil ka

matlab hai is aalam ko zaban se na bayan se

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahsus Karoge To Guzar Jaoge Jaan Se In English By Famous Poet Javed Saba. Mahsus Karoge To Guzar Jaoge Jaan Se is written by Javed Saba. Read famous Poem Mahsus Karoge To Guzar Jaoge Jaan Se for youth and Student by Javed Saba. Free Download Mahsus Karoge To Guzar Jaoge Jaan Se in PDF.